OwnSkin logo
English
Select Phone Model
Hi,Guest (Login | Sign Up)



To sign my guestbook, you need to signin first.
ikaajazshaam 12 years ago
تم جس پہ نظر ڈالو اس دل کا خدا حافظ قاتل کی خدا جانے، بسمل کا خدا حافظ آ جاؤ جو محفل میں،ایک جان سی آ جائے ہے اٹھ جاؤ جو محفل سے ، محفل کا خدا حافظ ساتھی ہو اگر تم سا،منزل کی تمنا کیا ہم کو تو سفر پیارا ، منزل کا خدا حافظ اب ہم بھی تمہارے ہیں،کشتی بھی تمہاری ہے اب مڑ کے نہ دیکھیں گے ، ساحل کا خدا حافظ *IK AAJAZ SHAAM*

ikaajazshaam 12 years ago
Patti patti bikher gye hen gulab sary jitny b thy mere jeewan men thy usi k azab sary jitny b thy jese pat jharh men sookhy pattey toot girty hen shajar se u zard mousam men jharh gye ahbab sary jitny b thy dheere dheery zara zara sa u meri jaan ko kha rehi hen ab teri yaden le rehi hen hisaab sary jitny b thy ham ne lafzon men pro kr aur kitabon men qaid kr k baich daly hen dard sary khawab sary jitny b thy tumhen kho kr jaam meri dekho na SHAAM ho gye hen tere noor hi k dam se ham thy nawaab sary jitny b thy a very heart tuching ghazal from my personel poetry *IK AAJAZ SHAAM*

ikaajazshaam 12 years ago
WO GYA TO SATH HI LE GYA SABHI RANG UTAAR KR SHEHR K MERE SHEHR MEN IK SHAKHS THA KISI DOOR PAAR K SHEHR KA MISS U MY LOVE VERY MUCH *IK AAJAZ SHAAM*

ikaajazshaam 12 years ago
Ye Mast Mast Be-Misal Aankhen Nshay Sy Hr Dam Nidhal Aankhen Uthen To Hosh-o-Hawaas Chheenen Giren To Kr Den Kamal Aankhen Koi He In K Karam Ka Talib Kisi Ka Shok-e-Wisal Aankhen Na Yun Jlaayen Na Yun Staayen Kren To Kuch Ye Khayal Aankhen Hen Jeenay Ka ik Bahana Yaro Ye Rooh Parwar Jamal Aankhen Daraaz Palken Wisaal Aankhen Musawari Ka Kamal Aankhn Sharab Rab Nay Haram Kr Di Mgr Rkhi Q Halal Aankhn Hazaron In Se Qatal huway hen Khuda K Bnday Sanmbhal Aankhen..!!

ikaajazshaam 12 years ago
Jab ham chotey thay tab barhey hone ki boht chahat thi, Par ab pata chala k, Adhoora ehsas aur tootay hove sapno se achay, to Adhoory homework aur tootay khilony thay. *IK AAJAZ SHAAM*

ikaajazshaam 12 years ago
Mohabbat Rog Hoti He Kaha B Tha, Rula Kr Khud B Roti He Kaha B Tha, Kinaare K Kareeb Le Jaa Kar, Ye Kashti Ko Duboti He Kaha B Tha, Ise TuM Dilki Dharti Ka Pata Mat Do, Ye Is Mein Dard Boti He Kaha B Tha, Mohabbat Men Khushi K Bad GhaM Ki Rutt, Boht Nazdeek Hoti He Kaha B Tha, Luta Kr Dil ko, Rone Se B Kya Haasil, Boht Nayaab Moti He Kaha B Tha, Azal Se Iski Fitrat He ZaMane Ko, Jaga Kr Khud Ye Soti He Kaha B Tha, Ye Sar Se Paaown Tk bs Raakh Kar De gi, Boht Bedard Hoti He Kaha B Tha... *IK AAJAZ SHAAM*

ikaajazshaam 12 years ago
Hijer mein khoon rulate ho kahan hote ho..? Lout ker kyoun nahin aate ho kahan hote ho..? Jab bhi milta hay koi shakhs baharon jaisa..? Mujh ko tum kese bhulate ho kahan hote ho..? Yaad ati hain aikele mein TUMHARI neendain Kis tarah khud ko sulate ho kahan hote ho..? Mujh se bichre ho tu mehboob e nazer ho kis k Aaj kall kis ko manate ho kahan hote ho…..? Shab ki tanhaii mein akser ye khayal ata he Apne dukh kis ko sunate ho kahan hote ho…..? Mousam e gul mein nasha hijer ka berh sa jata he Mere sab hosh churate ho kahan hote ho……….? Sard raaton mein tumhen kese bhula sakta hoon Aag si dil mein lagate ho kahan hote ho………? *IK AAJAZ SHAAM*

ikaajazshaam 12 years ago
Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar, Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar, Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de, Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar, Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de, Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar, Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye, Meri khirhkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar, Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan, Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar, Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi, Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar, Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai, Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar.. *IK AAJAZ SHAAM*

ikaajazshaam 12 years ago
Aankh ki nadiya, ashk ki nayya,yad tmhari, Chand ki rat, Jharna,jugnu, tim tim taary, kitni pyari Chand ki rat, Sookhy patty, sard hawaen, sooni sarken, men or tum, Shah or malka hath hn thaamy, Or darbari Chand ki rat, Mera bachpan, Door patangen, pakki neenden, kachy ghar, Chupan chupai, cheena jhapti, Raj dulari Chand ki rat, Tash k patte, yar hamare, maili chadar, Gehri chaal, Saans ka huqqa, behki baten, Ham pe taari Chand ki rat..

ikaajazshaam 12 years ago
Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai Magar Aye Zindagi Phir Bhi MujheTujh Se Mohabbat HAI Jo Aata Hai Woh Jataa Hai Yeh Duniya Aani Jaani Hai Yahan Her Shaks Musafir Hai Safar Mein Zindagani Hai Ujalon Ki Zaroorat Hai Andhera Meri Kismat Hai Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai Magar Aye Zindagi Phir Bhi MujheTujh Se Mohabbat Hai Zara Aye Zindagi Dam Le Tera Deedar Toh Kar Loo Kabhi Dekha Nahin Jis Ko Uska Deedaar Toh Ker Loo Abhi Se Chhod Kar Mat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hai Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai Magar Aye Zindagi Phir Bhi MujheTujh Se Mohabbat Hai Koi Anjaan Sa Chehraa Ubhar ThaHai Fizaaon Mein Yeh Kis Ki Aahatein Jagee Meri Khamosh Rahon Mein Abhi Aye Mout Naa Aanaa Mera Thikaana Jannat Hai Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai Magar Aye Zindagi Phir Bhi MujheTujh Se Mohabbat Hai *IK AAJAZ SHAAM*

Next
Prev
[ < ] [ 11 ] [ 12 ] [ 13 ] [ 14 ] [ 15 ] [ > ]

Cuming soon

Home
Feedback/Help
©2011 OwnSkin.com